This is one song which has always raised questions in my mind, as to, why are we alive? what purpose are we here for? if death is all we get, then what do we live for? I know too serious kind of questions, but I get carried away in the lyrics so much that I start sounding philosophical.
maut sabko aani hai kaun isse choota hai
tu fanah nahi hoga yeh khayaal jhoota hai
saans toot te hi sab rishe toot jaayenge
baap,maan,behen,biwi,bacche choot jaayenge
tere jitne hai bhai waqt ka chalan denge
cheen kar teri daulat do hi gaz kafan denge
jinko apna kehta hai kab yeh tere saathi hai
kabr hai teri manzil aur yeh baraati hai
laake kabr mein tujhko murda paak daalenge
apne haaton se tere moonh pe khaak dalenge
teri saari ulfat ko khaak mein mila denge
tere chahane waale kal tujhe bhulaa denge
isiliye yeh kehta hoon khoob sochle dil mein
kyon fansaaye baitha hai apni jaan mushkil me
kar gunaahon se tauba aage waqt sanbhal jaaye,
dum ka kya bharosa hai jaane kab nikal jaaye,
mutthi baand ke aane waale haat pasaare jaayega
dhan daulat jaagir se tune kya paaya hai kya paayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega

Is God really watching???